RSS
 

Archive for September 1st, 2011

Janmabhishek Ka Geet (Roman)

01 Sep

Mangal kalash bharaun, meru par jaun, ki jinvar nahvan karun,
Mangal kalash bharaun, meru par jaun, ki jinvar nahvan karun.!!1!!

Airavat par prabhu baithaye, Shat-indran sang panduk laye,
Panduk nahvan karaun, meru par jaun, ki jinvar nahvan karun.!!2!!

Neer bharan kshirodhadhi-javen, bhar-bhar kalash neer le aaven,
Mastak kalash dhuraun, meru par jaun, ki jinvar nahvan karun.!!3!!

Indra- indrani mangal gaven, prabhuji ke charanon mey sheesh
jhukaaven,
Netra hajaar banaun, Meru par jaun, ki jin-var nahvan karun.!!4!!

Prabhuji ke char-no ki balihari, indra-shachi pulke ati-bhari,
Geet sumangal gaun, meru par jaun, ki jinvar nahvan karun.!!5!!

 
No Comments

Posted in Puja

 

Abhishek Stuti (Roman)

01 Sep

Shree Ji ka abhishek karey ham leke shuddh jal dhara,
Dhul jaaye paap hamara.

Shr ji anant gun vaaley hain,
Aru param shuddh tan valey hain.
Ln ke char-non mey vandan kar-lo shat bara,
Fir shuru karain jal dhara. Shree Ji…!!1!!

Sur Indra dev bhi swargon mey,
Abhishek karain nit bhavno mey.
Hey pujya a-kritrim bimb sakal sur dwara,
Swargon mey bhi sukh-kara. Shr ji…!!2!!

Tray ashtahnik ke parvo mey,
Aru Nandeeshvar ke bhav-no mey.
Sur-pati bhi jaatey lekar sab pari-vara,
Poojan kar-tey har bara. Shr Ji…!!3!!.

Shr ji par jo jal dhhurata hey,
Vah gandhodak sukh kar-ta hey.
Mey-na sundari ne gandho-dak ke dwara,
Kiya kshan mey kusht nivara. Shree Ji….!!4!!

Gandharv- indra na chhoo saktey,
Ham aaj unher sir par dhar-tey.
Yah dhanya ghadi mil jaaye baram-bara,
Yah bhaav hriday mey dhara. Shr Ji….!!5!!

Sukh Shanti agar tum chaho to,
Jhat prabhu ji ke mandir aao to.
Har baar karo prabhu ji ki shanti dhara,
Baney jeevan uttam sara. Shr Ji…..!!6!!

 
No Comments

Posted in Puja